Gham-e-zindagi ka, ya rab, na mila koyi kinara Gham-e-zindagi ka, ya rab, na mila koyi kinara Meri fikr-e-bekaraan ne do jahaan ko chhaan maara Gham-e-zindagi ka, ya rab Meri aarzu ko bakhshi teri har nazar ne rafwat Meri aarzu ko bakhshi teri har nazar ne rafwat Usse bekaraan karega mere shauq ka sharara Usse bekaraan karega Main kabhi rawaan-dawaan tha kahin dasht-e-bekhudi mein Main kabhi rawaan-dawaan tha kahin dasht-e-bekhudi mein Kisi duur ki sada ne mujhe pyaar se pukaara Kisi duur ki sada ne Mera zarf ye ke lekar gham-e-bekaraan main chup hoon Mera zarf ye ke lekar gham-e-bekaraan main chup hoon Na sukhan se raaz paida, na jabeen se aashkaara Gham-e-zindagi ka, ya rab, na mila koyi kinara Gham-e-zindagi