Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise khilata gulaab jaise shaayar ka khvaab Jaise ujalii kiran jaise ban mein hiran Jaise chandanii raat jaise naramii baat Jaise mandir mein ho ek jalta diya Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise subah kaa roop jaise saradii ki dhoop Jaise vinaa ki taan jaise rangon kii jaan Jaise balakhaayen bel jaise laharon ka khel Jaise khushboo liye aaye thandii hawa Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga Jaise nachataa mor jaise resham ki dor Jaise pariyon ka raag jaise sandal ki aag Jaise solah singaar jaise ras ki phuhaar Jaise aahistaa aahistaa badhta nasha Ho ek ladki ko dekha to aisa laga Ek ladki ko dekha to aisa laga