Bhaiya dekh liya hai bahut teri sardari re Ab to humri baari re naa.. Mehangai ki mahamaari ne humra bhatta bitha diya Chale hataane gareebi, gareebon ko hata diya Haa.. Mehangai ki mahamaari ne humra bhatta bitha diya Chale hataane gareebi, gareebon ko hata diya Sarbat ki tarah desh ko Sarbat ki tarah desh ko gatka hai gatagat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Sarbat ki tarah desh ko gatka hai gatagat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Bhaiya dekh liya hai bahut teri sardari re Ab to hamri baari re naa.. Bhaiya dekh liya hai bahut teri sardari re Ab to hamri baari re naa.. Birla ho ya Tata, Ambani ho ya Bata Sabne apne chakkar mein des ko hai kaata Birla ho ya Tata, Ambani ho ya Bata Sabne apne chakkar mein des ko hai kaata Arey humre hi khoon se inka Humre hi khoon se inka Engine chale dhakadhak Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Ab to nahi chalegi teri ye rangdari re Ab to humri baari re na.. Ab to nahi chalegi teri ye rangdari re Ab to humri baari re na.. Bajao bhaiya dholaki, bajao duga dugi Bajao bhaiya dholaki, bajao duga dugi Inke court kachehari thaane karte jhoot case paimane Inka bataidar kaanoon karta gaanv-gaanv me khoon Inke court kachehari thaane karte jhoot case paimane Inka bataidar kaanoon karta gaanv-gaanv me khoon Arey, halwa samajh ke bhoos ye Halwa samajh ke bhoos ye khate hain gapagap Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re Ab to humri baari re naa.. Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re Ab to humri baari re naa.. Ghar bech do apna ya bech do sapna Ye na dakaar lenge bus itna yaad rakhna Ghar bech do apna ya bech do sapna Ye na dakaar lenge bus itna yaad rakhna Arey humre hi khoon se inka Humre hi khoon se inka Engine chale dhakadhak Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re Ab to humri baari re naa.. Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re Ab to humri baari re naa..