|
Shaah-e-mardaan Ali |
|
Ali Ali Ali |
|
Ali Maula Ali |
|
Patthar pe alam deen ka garaa jisne |
|
Lalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne |
|
Haq |
|
Ali Ali Ali |
|
Ali Maula Ali |
|
Jap le jap le mere manvaa |
|
Yahii naam sacchaa hai pyaare |
|
Yahii naam tere sab dukh haare |
|
Isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol |
|
Shaah-e-mardaan Ali |
|
La fataa illah Ali |
|
Sher-e-yazdaan Ali |
|
Tan par Ali, Ali ho zubaan par Al Ali |
|
Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali |
|
Baghair hubb-e-Ali mudd'aa nahiin miltaa |
|
Ibaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa |
|
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasam |
|
Jise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa |
|
Basad talaash na ab kuch vus'at-e-nazar se milaa |
|
Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa |
|
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen |
|
Khudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa |
|
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii |
|
Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii |
|
Gul-e-tathiir Ali |
|
Haq kii shamshiir Ali |
|
Piiron ke piir Ali |
|
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali |
|
Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali |
|
Jis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaal |
|
Paidaa hu'aa na hogaa ko'ii duusraa Ali |
|
Bedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaat |
|
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali |
|
Haq |
|
Ali Ali Ali |
|
Ali Maula Ali |